Apni skin ko kavya jaisi glowing, young aur healthy rakhne ke liye aapko ye diye gaye points dhyan mein rakhne hote hai-
Tip no.1 - Skin ko jaane
Apni skin par new products ya fir new treatment try karne se pehle aapko Apne skin type Janna bahut jyada important hai.
Skin type 3 tarah Ki hoti hain oily skin ,dry skin and combination skin.
Oily skin mein oil bahut jyada produce hota hai aur aisi skin hamesha shiny dikhti hai.
Dry skin bahut hi dull dikhti hai aur usmein moisture aur nourishment ki bahut jyada Kami hoti hai. Combination skin na bahut jyada dry hoti hai na bahut jyada oily hoti hai.
Tip no.2 Sahi product ka upyog
Jab aap apni skin type ko analyse kar lete hain to uske baad aapko apni skin type ke according product ka selection karna hota hain.
Oily skin ke liye gel based moisturizer perfect hota Hai.
Dry skin ke liye cream based moisturizer achcha hota Hai.
Combination skin ke logo Ko Summer season mein gel based moisturizer aur winter season mein cream based moisturizer ka use karna chahie.
Tip no.3 Basic Hygiene
Face per jitna jaruri hai acche products lagana hota hai, utna hi jyada important hota hai apne face ko acche se clean karna.
Morning skin care routine mein to face ko clean karna hi chahie lekin night skin care routine mein bhi aapko apne face ko acche se clean jarur karna chahie.
Agar aap makeup remove karte hain to aapko double cleansing method ka use karna chahie yani sabse pahle apne makeup Ko kisi bhi milk based cleanser ya fir oil cleanser se clean karna chahie aur uske baad aap face wash ka use kar sakte hain.
Tip no.4 Facial (Kavya ki tarah tip top rehna hai ya nhi?!)
Skin ko daily skin care routine ke alava extra care ki bhi jarurat hoti hai aur vah extra care milati hai facial se. Facial mein kuchh aise massage steps hote hain jisse hamare face ka blood circulation increase hota hai aur skin healthy rehti hai aur bahut jyada young dikhti hai.
Tip no.5 Sunscreen bohot important hai
Skin ko cancer Jaisi bimari se bachane ke liye aur aging process kam karne ke liye sabse jyada important hota hai sunscreen.
Morning skin care routine mein sabse last mein sunscreen application jarur hona chahie aur sunscreen 50++ ka hi hona chahie. Sunscreen hame UV rays se protect karta hai.
Tip no.6 Bahar se hi nhi andar se bhi healthy rahen, tabhi to skin healthy rahegi
Skin ko sirf bahar se healthy aur young nahin rkha ja sakta hai isliye aapko aisi diet leni chahie jisse ki aapki skin andar se healthy rahe . Diet mein aapko green vegetables fruits add karna chahiye.
To aise rakhen apni skin ko kavya jaisi glowing!
Issi tarah skin aur makeup ki knowledge ke liye humare sath judde rahen, aur agar aap koi bhi tips and tricks miss out nhi krna chahte to follow karen humare social media pe @skillinabox @skillinabox_mua.
Aakhir me sabse zaruri baat, jab aap itna interest dikha hi rahen hain to kyu na aap apne passion se apni income start karden. Join kariye humara cosmetology program jisme aap na sirf seekhenge but apni income bhi shuru kar paaenge.
Kommentit